Angreji me bolna kese sikhe... (how to speak in english)

Hello guys  me aaj ek baar fir ek nayi or majedaar post lekar aaya hu "how to speak english" to dosto bina kisi deri ke ye topic shuru karte hai....



To friends aaj ke generation me english ek esi language ban gyi h jiski har jagah requirement rehti hai school admission se lekar job interview tak har jagah apko english speaking me perfect hona hota hai..
Agar aap ssc, upsc, nda kisi bhi exam ki preparation kar rhe ho to vha bhi english compulsory hai....
Aaj bhi india me bhot se log aise hai jinki english kaafi weak hai vah english jante to hai lekin english bolne me kaafi dikkato ka samna karna padta hai jiske lie vah bhari bharkam fees wale institutes me admission le lete hai lekin fir bhi veh english dhang se nahi bol pate...
Lekin don't worry friends  aaj me aapko kuch aise tariko ke baare me btaunga jise follow karke aap jaldi se english bonlna sikh jayenge...

1. Speaking

So friends english bolna sikhne ka ek sabse accha tarika hai ki english language ko jyada se jyada bolna.. Matlab ki jyada se jyada english me talk kare apne friends ke sath or apne family mambers ke sath isse hoga kya jo humare man me hajitation hai vo dur hogi or humara bolne ka tarika bhi sudhrega jo bhi english ko atak kar bolta hai uske lie ye tarika or bhi fayedemand hai... 

2.words meaning

To friends english speaking ki dusri tip ye h ki jyada se jyada words meaning ko yaad kare jyada se jyada dictionary pade.  Kyuki mene bhot se logo ko dekha hai or ye chiz mere sath bhi kai baar hui hai ki hume sentence banane to aate hai lekin humari words meaning kamjor hone ke karan hum english bol nahi pate.. To dusra tarika h ki apne words meaning ko majboot kare... 

3.english movies, english newspaper

English movies dekhna or english newspaper padna english sikhne ka ek bhot kargar tarika h agar aap daily subha sirf aadha ghanta bhi newspaper padte h or night ya kisi bhi tym english movies dekhte hai to tb aapki english speaking kafi better ho jayegi... English newspaper padne se aapki reading skill to better hogi hi sath me aap newspaper padkr acchi knowledge bhi paa skte hai or english movies dekhne se aapki listning skill bhi sudhregi or yadi aapse koi english me talk karega tab aap aasani se uski baatein samajh sakte hai.....

4.writting practice

Agar aap apni english speaking ko behtar banana chahte hai to english ko jyada se jyada likhe... 
Ab aap yhe soch rhe honge ki likhne se english speaking kese sudhregi.... 
Writting practice se bhi english speaking improve hoti hai lekin aapko english writting copy nhi karni hai balki aapko khud man se sentece bana kar likhne hai.. 
Agar aap se sentece nhi ban rhe to jese bhi aapse english me sentence ban rhe hai aap likh do dheere dheere aapki english improve hoti jayegi.. Aap chahe to apni dairy bhi likh sakte hai... 

To frnds agar aap in tips ko follow karte hai or ise daily routine  banate hai to 2 se 3 months me aapki english speaking skill kafi majboot ho jayegi.... 

how to speak english...
Hope aapko yeh article accha laga hoga... Aap comments me bhi bta sakte hai ki yeh article aapko kesa laga..... 

Comments

Popular Posts